Thursday, 18 August 2016

Dosti Shayari (New Shayari)


Dosti Shayari (New Shayari)

Chote Se Dil Ke Afsane Bahut Hai,
Zindagi Se Zyada Zakhm Bahut Hai,
Maar Dalti Kab Ki Ye Duniya Par..
Dosto Ki Duao Mai Asar Bhut Hai !!!


Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do
Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raaho Mein
Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do !!!


Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.


Kushboo mein ehsaas hota hai,
Dosti ka rista kuch khaas hota hai,
Har baat juba se kehna mumkin nahi,
Isliye to dosti ka naam vishwash hota hai.


किस हद तक जाना है ये कौन जानता है,
किस मंजिल को पाना है ये कौन जानता है,
दोस्ती के दो पल जी भर के जी लो,
किस रोज़ बिछड जाना है ये कौन जानता है.!

Kis hadd tak jana hai ye kaun jaanta hai,
Kis manzil ko pana hai ye kaun janta hai,
Dosti ke do pal ji bhar ke ji lo,
Kis roz bichad jana hai ye kaun janta hai.


Har Dost se achi baat karna fitrat hai hamari,
Har dost khush rahe hasrat hai hamari,
Koi hum ko yad kare na kare,
Har dost ko yaad karna aadat hai hamari.


शायद फिर वो तक़दीर मिल जाये
जीवन के वो हसीं पल मिल जाये
चल फिर से बैठें वो क्लास कि लास्ट बैंच पे
शायद फिर से वो पुराने दोस्त मिल जाएँ ।


Wada karte hain dosti nibhayenge,
Koshish yahi rahegi tujhe na satayenge,
Zarurat pade toh dil se pukarana,
Marr bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge.


Kab maine kaha ki shona aur chandi chahiye,
Bas aapki dil me chhota sa kona chahiye,
Jise hum keh sake dilse apna,
Aisa bhi to koi yaar hona chahiye


Duriyo Se Koi Fark Nahi Padta,
Baat To Dilo Ki Nazdikiyo Se Hoti Hai,
Dosti To Kuch Aap Jaiso Se Hai,
Warna Mulaqat To Jane Kitno Se Hoti Hai.

दूरियों से फर्क पड़ता नहीं,
बात तो दिलों कि नज़दीकियों से होती है,
दोस्ती तो कुछ आप जैसो से है,
वरना मुलाकात तो जाने कितनों से होती है.




No comments:

Post a Comment